phir yaad use karne ki fursat nikal aai
mat puchhiye kis moD pe qismat nikal aai
kuchh in dinon dil us ka dukha hai to hamein bhi
us shaKHs se milne ki sahulat nikal aai
aabaad hue jab se un aankhon ke kinare
duniya jise samjhe the wo jannat nikal aai
jo KHwab ki dahliz talak bhi nahin aaya
aaj us se mulaqat ki surat nikal aai
ab aa ke gale milta hai pahle tha gurezan
kya hum se use koi zarurat nikal aai
ek shaKHs ki mahbub-nigahi ke sabab se
'ashfaq' tumhaari bhi to qamat nikal aai
Ghazal
Phir yaad use karne ki fursat nikal aai
Ashfaq Husain