phir wo barsat dhyan mein aai
tab kahin jaan jaan mein aai
phul pani mein gir paDe sare
achchhi jumbish chaTan mein aai
raushni ka ata-pata lene
shab-e-tira jahan mein aai
raqs-e-sayyargan ki manzil bhi
safar-e-KHak-dan mein aai

Ghazal
Phir wo barsat dhyan mein aai
Sarvat Husain