phir wahi tu sath mere phir wahi basti purani
ek ek rasta hai teri raunaq-e-pa ki kahani
ai gul-e-awargi teri mahak taron se khele
ai nadi bahta rahe daim tera bedar pani
sabz nili dhund mein Dube pahaDon se utarti
kya ajab manzar-ba-manzar raushni hai dastani
ek ghane sarshaar hasil ki faza hai aur donon
ab nahin hai darmiyan koi bhi manzil imtihani
main ki tha munkir tera aur ab ki main qail khaDa hun
ai visal-e-lamha-lamha ai ata-e-asmani
Ghazal
Phir wahi tu sath mere phir wahi basti purani
Rajinder Manchanda Bani

