اردو हिंदी
Phir wahi shab wahi sitara hai | Shaahi Shayari
phir wahi shab wahi sitara hai

Ghazal

Phir wahi shab wahi sitara hai

Vikas Sharma Raaz

;

phir wahi shab wahi sitara hai
phir wahi aasman hamara hai

wo jo tamir thi tumhaari thi
ye jo malba hai sab hamara hai

wo jazira hi kuchh kushada tha
hum ne samjha yahi kinara hai

chahta hai ki kahkashan mein rahe
mere andar jo ek sitara hai