phir wahi mausam-e-judai hai
phir mujhe apni yaad aai hai
phir paDha main ne tera pahla KHat
phir se tujh tak meri rasai hai
phul sa phir mahak raha hun main
phir hatheli mein wo kalai hai
pahle bose ki nim-garm aahaT
phir rag-e-jaan mein rat-jagai hai
phir hari hai tamam tanhai
phir se pani ko sabz-pai hai
phir mera hai tamam sannaTa
phir meri baz-gasht chhai hai
phir zamana meri giraft mein hai
phir mujhe wahm-e-kibriyai hai
phir tujhe chhu ke dekhta hun main
phir se qindil si jalai hai
phir tasawwur mein tere lab aae
meri har baat phir hinai hai
Dher hai phir se KHak ki diwar
phir mujhe zauq-e-runumai hai
phir wahi mein naya naya sa hun
phir zamin se meri rihai hai
Ghazal
Phir wahi mausam-e-judai hai
Farhat Ehsas