phir uThi aaj wo nigah-e-naz
ek nae daur ka hua aaghaz
har haqiqat hai aaina phir bhi
zarra zarra hai ek jahan-e-raaz
lab-e-shaer pe git raqsan hain
ruh-e-fitrat hai gosh-bar-awaz
meri KHamoshiyon ke aalam mein
gunj uThti hai aap ki aawaz
koi aalam nahin qayam-pazir
lamha lamha hai mail-e-parwaz
'naqsh' hum ahl-e-dil ne dekhe hain
manzil-e-ishq ke nasheb-o-faraaz
Ghazal
Phir uThi aaj wo nigah-e-naz
Mahesh Chandra Naqsh