اردو हिंदी
Phir uske phande mein ja rahe hain ki jis ke phande mein ja chuke the | Shaahi Shayari
phir uske phande mein ja rahe hain ki jis ke phande mein ja chuke the

Ghazal

Phir uske phande mein ja rahe hain ki jis ke phande mein ja chuke the

Naseem Dehlvi

;

phir us ke phande mein ja rahe hain ki jis ke phande mein ja chuke the
wahi musibat uTha rahe hain ki jo musibat uTha chuke the

kaho jo beja baja hai mujh ko saza hai jo na-saza hai mujh ko
ki un ka rona paDa hai mujh ko jo muddaton tak rula chuke the

jo un ki KHu thi so un ki KHu hai jo guftugu thi so guftugu hai
phir un pe miTne ki aarzu hai jo har tarah se miTa chuke the

adu ka main hun adu muqarrar barabar aa ke hue barabar
bhala badalta na rang kyun kar wo rang apne jama chuke the

kisi se koi na dil lagae 'nasim' kya kaifiyat batae
wahi ab aansu bahane aae lahu jo mera baha chuke the