phir un ki yaad ke dipak jalae hain main ne
ki KHufta hasrat-o-arman jagae hain main ne
zamana jin ke tasawwur se hi laraz uTThe
qalil umr mein wo gham uThae hain main ne
gham-o-alam ke samundar mein Dub kar aksar
nashat-o-aish ke naghmat gae hain main ne
nahin nahin hai nahin qabil-e-yaqin koi
KHuda ke bande bahut aazmae hain main ne
hua hai aaj ye ek lamha-e-tarab hasil
wagarna aansu hi aansu bahae hain main ne
'jamal' talKH tajrabaat bughz-o-nafrat se
tarane mehr-o-wafa ke sunae hain main ne
Ghazal
Phir unki yaad ke dipak jalae hain maine
Harbans Lal Aneja u0027jamaalu0027