phir umr-bhar ki nala-sarai ka waqt hai
ai dil phir ek bar judai ka waqt hai
kaam aa na paenge mujhe ye nim-baz ab
ai chashm-e-tar ye dida-darai ka waqt hai
sine mein yan koi dil-e-be-muddaa nahin
han chup hun is liye ki bhalai ka waqt hai
majbur taur hun so main shirin nawa rahun
go jaanta hun talKH-nawai ka waqt hai
mujh ko mere ruKH-e-araq-alud ki qasam
uTThun jo wo kahe ki laDai ka waqt hai
ab ke hui hai phir se qafas-zadon ko umid
KHush ho ke kah rahe hain rihai ka waqt hai
murgh-e-sahar hai murgh-e-musalla hai aur subh
tinon ke beach zor-numai ka waqt hai
'tamjid' fikr kar maraz-e-jaan-gudaz ki
bedar ho ki rah-numai ka waqt hai
Ghazal
Phir umr-bhar ki nala-sarai ka waqt hai
Syed Tamjeed Haider Tamjeed