phir tum ruKH-e-zeba se naqab apne uTha do
achchha hai ki aaine ko aaina dikha do
jab barq ke ehsan se bachana hai KHudi ko
KHud apne hi nalon se nasheman ko jala do
wo samne aate nahin achchha to na aaen
tum jazb-e-mohabbat se hijabaat uTha do
gul kar saken jis ko na hawaon ke thapeDe
wo shama zamane mein mohabbat ki jala do
tum ne to nazar pher li bhar kar nafas-e-sard
lazim tha ki bhaDke hue shole ko hawa do
zindan se nikalne ki ye tadbir ghalat hai
zanjir ke TukDe karo diwar gira do
main ye nahin kahta ki baja hi sahi lekin
'rifat' pe bhi beja koi ilzam laga do
Ghazal
Phir tum ruKH-e-zeba se naqab apne uTha do
Rifat Sethi