phir tere reshmi lab mujh ko manane aae
pyas janmon ki phir ek bar bujhane aae
yaad se us ki kaho aaj satane aae
KHwab aankhon se, sakun dil se churane aae
aaj phir dard ke bazar saje hain yaro
ashk phir aankhon mein dukan lagane aae
tu ne ehsas ki daulat se nawaza tha magar
zist ke fikr-o-alam hosh uDane aae
muntazir aaj talak bhi hain ki is raat kabhi
tu kisi aur se milne ke bahane aae
kam-sini mujh mein yahi soch ke zinda hai 'sahar'
main jo ruThun to kabhi tu bhi manane aae
Ghazal
Phir tere reshmi lab mujhko manane aae
Neena Sahar