اردو हिंदी
Phir tere hijr ke jazbaat ne angDai li | Shaahi Shayari
phir tere hijr ke jazbaat ne angDai li

Ghazal

Phir tere hijr ke jazbaat ne angDai li

Tasneem Faruqi

;

phir tere hijr ke jazbaat ne angDai li
thak ke din Dub gaya raat ne angDai li

jaise ek phul mein KHushbu ka diya jalta hai
us ke honTon pe shikayat ne angDai li

surKH hi surKH hai is shahr ka manzar-nama
amn hote hi fasadat ne angDai li

hum bhi is jang mein filhaal kiye lete hain sulh
dekha jaega jo haalat ne angDai li

garmi-e-ah se nam ho gain aankhen ai dost
baDh gaya habs to barsat ne angDai li

fasla ranj-o-masarrat mein bas ek sans ka hai
muskurae the ki sadmat ne angDai li

jhil jaisi wo chamakti hui aankhen 'tasnim'
un mein Dube the ki naghmat ne angDai li