phir tera shahr teri rahguzar ho ki na ho
aur ho bhi to mujhe shauq-e-safar ho ki na ho
ho na ho phir se rag-o-pai mein shararon ka guman
phir kabhi dosh pe mere tera sar ho ki na ho
mang lun tere hawale se to shayad mil jae
kya KHabar sirf duaon mein asar ho ki na ho
na-umidi ke ye shab-zad Daraate hain mujhe
tere aane se munawwar mera ghar ho ki na ho
mujh se bhula na gaya un ke labon ka wo khinchaw
yaad un ko bhi mera dida-e-tar ho ki na ho
ab bhi aa jao koi der khuli hain aankhen
kya KHabar phir kabhi diwar mein dar ho ki na ho
man ke aanchal ke tale baiTh lo kuchh der ai 'taj'
kya KHabar aage ye saya ye shajar ho ki na ho
Ghazal
Phir tera shahr teri rahguzar ho ki na ho
Husain Taj Rizvi