phir tez hawa chalte hi be-kal huin shaKHen
kis dard ke ehsas se bojhal huin shaKHen
kya soch ke raqsan hain sar-e-sham khule sar
kis kahish-e-be-nam se pagal huin shaKHen
girte hue patton ki taDapti hui lashen
sad-tantana-e-zist ka maqtal huin shaKHen
tarsi hui bahen hain humakte hue aaghosh
diwangi-e-shauq ka symbol huin shaKHen
phir raat ke ashkon se faza bhig chali hai
phir os ki barsat se shital huin shaKHen
jhonke hain ki shahnai ke sur jag rahe hain
ek naghma-gar-e-naz ki pael huin shaKHen
bargad ka tana ek sadi umr-e-rawan ki
sae hain mah-o-sal to pal pal huin shaKHen
har Dal pe ek TuTti angDai ka aalam
shab-bhar jo hawa tez rahi shal huin shaKHen
jata hua mahtab jo dam-bhar ko ruka hai
ek mahwash-e-tannaz ka aanchal huin shaKHen
jab Dub gaya gham ke ufuq mein dil-e-tanha
mahtab se dur aankh se ojhal huin shaKHen
Ghazal
Phir tez hawa chalte hi be-kal huin shaKHen
Rafiq Khawar Jaskani