phir suraj ne shahr pe apne qahr ka yun aaghaz kiya
jin jin ke lambe daman the un ka ifsha raaz kiya
zahr-e-nasihat tir-e-malamat dars-e-haqiqat sab ne diye
ek wahi tha jis ne meri har aadat par naz kiya
naqd-e-talluq KHub kamaya lekin KHarch are tauba
ye to batao kal ki KHatir kya kuchh pas-andaz kiya
shahr mein is kaifiyat ka hai kaun muharrik kuchh to kaho
jis kaifiyat ne tum ko diwanon mein mumtaz kiya
ku-e-malamat ke bashinde tum ko sajda karte hain
kis ne is basti mein aaKHir aise sar-afraaz kiya
dehli mein rahna hai agar to tarz-e-mir zaruri hai
us ne bhi to ishq kiya phir yan rahna aaghaz kiya
pahle uDne ki dawat di ta-hadd-e-imkan 'siraj'
phir jaane kyun KHud hi us ne qata par-e-parwaz kiya
Ghazal
Phir suraj ne shahr pe apne qahr ka yun aaghaz kiya
Siraj Ajmali