phir siyah-posh hui sham nazar mein rakhna
tum ye bedardi-e-ayyam nazar mein rakhna
main ne baatil se kabhi sulh nahin ki logo
meri haq-goi ka inam nazar mein rakhna
KHub hai dard-o-gham-e-dil ka mudawa lekin
KHud ko bhi ai dil-e-nakaam nazar mein rakhna
Thokaren kha ke sambhalte hain sambhalne wale
ye jo patthar hain ba-har gam nazar mein rakhna
imtihan-gah-e-mohabbat se guzarne walo
roz-e-ashura ka hangam nazar mein rakhna
kaba-e-fan ki kashish khinch rahi hai dil ko
fikr kab bandhegi ehram nazar mein rakhna
intisab-e-gham-e-hasti ke liye ab ai 'naz'
KHub-surat sa koi nam nazar mein rakhna
Ghazal
Phir siyah-posh hui sham nazar mein rakhna
Naz Quadri