اردو हिंदी
Phir shoala-e-gul mauj-e-saba chahiye yaro | Shaahi Shayari
phir shoala-e-gul mauj-e-saba chahiye yaro

Ghazal

Phir shoala-e-gul mauj-e-saba chahiye yaro

Manzar Shahab

;

phir shoala-e-gul mauj-e-saba chahiye yaro
gulnar gulistan ki faza chahiye yaro

pairahan-e-jaan chaak rahe tez hawa mein
tufan mein jine ki ada chahiye yaro

matlub ho gar shahid-e-mani ki tajalli
alfaz ki sad-rang qaba chahiye yaro

shadab nai rut se hai gulzar-e-adab bhi
phulon ko tar-o-taza hawa chahiye yaro

jitne bhi dariche hain sabhon ko na karo band
ek aadh daricha to khula chahiye yaro

shishe ki koi chiz salamat na rahegi
is daur mein patthar ki ana chahiye yaro

dil sang-e-malamat se hina-rang hai lekin
kuchh aur rifaqat ka sila chahiye yaro