phir shab-e-gham ne mujhe shakl dikhai kyunkar
ye bala ghar se nikali hui aai kyunkar
kaT sake saKHti-e-ayyam-e-judai kyunkar
ghair ko aae ilahi meri aai kyunkar
tu ne ki ghair se kal meri burai kyunkar
gar na thi dil mein to lab par tere aai kyunkar
na kahunga na kahunga na kahunga hargiz
ja ke us bazm mein shamat meri aai kyunkar
khul gai baat jab un ki to wo puchhte hain
munh se nikli hui hoti hai parai kyunkar
dad-KHwahon se wo kahte hain ki hum bhi to sunen
doge tum hashr mein sab mil ke duhai kyunkar
tum dil-azar o sitamgar nahin main ne mana
man jaegi ise sari KHudai kyunkar
na-gahan shikwa-e-bedad to kar baiThe hum
ab ye hai fikr karen un se safai kyunkar
aap mein bhi to rahi aatish-e-tar ki tezi
aag pani mein ye saqi ne lagai kyunkar
allah allah buton ko hai ye dast-e-qudrat
un ki muTThi mein rahi sari KHudai kyunkar
wo yahan aaen wahan ghair ka ghar ho barbaad
is tarah se ho safai mein safai kyunkar
majlis-e-waz ko dekha to kaha rindon ne
hogi is bhiD ki jannat mein samai kyunkar
aaina dekh kar wo kahne lage aap hi aap
aise achchhon ki kare koi burai kyunkar
kasrat-e-ranj-o-alam sun ke ye ilzam mila
itne se dil mein hai itnon ki samai kyunkar
us ne sadqe mein kiye aaj hazaron aazad
dekhiye hoti hai aashiq ki rihai kyunkar
'dagh' ko mehr kaha ashk ko dariya hum ne
aur phir karte hain chhoTon ki baDai kyunkar
'dagh' kal to dua aap ki maqbul na thi
aaj munh-mangi murad aap ne pai kyunkar
Ghazal
Phir shab-e-gham ne mujhe shakl dikhai kyunkar
Dagh Dehlvi