اردو हिंदी
Phir se wo lauT kar nahin aaya | Shaahi Shayari
phir se wo lauT kar nahin aaya

Ghazal

Phir se wo lauT kar nahin aaya

Ibn-e-Mufti

;

phir se wo lauT kar nahin aaya
phir dua mein asar nahin aaya

chain aaega kaise aaj ki shab
tare nikle, qamar nahin aaya

likhte dekha tha KHwab mein un ko
ab talak nama-bar nahin aaya

mere marne pe aaya sara jahan
jo tha ek ba-KHabar nahin aaya

chal basi man liye khuli aankhen
us ka, nur-e-nazar nahin aaya

yun to patthar bahut se dekhe hain
koi tum sa nazar nahin aaya

sham Dhalne lagi hai ab 'mufti'
subh ka bhula ghar nahin aaya