phir se wahi haalat hain imkan bhi wahi hai
hum bhi hain wahi masala-e-jaan bhi wahi hai
kuchh bhi nahin badla hai yahan kuchh nahin badla
aankhen bhi wahi KHwab-e-pareshan bhi wahi hai
ye jal bhi us ne hi bichhaya tha usi ne
KHush KHush bhi wahi shaKHs tha hairan bhi wahi hai
ai waqt kahin aur nazar Dal ye kya hai
muddat ke wahi hath gareban bhi wahi hai
kal sham jo aankhon se chhalak aaya tha meri
tum KHush ho ki us sham ka unwan bhi wahi hai
har tir usi ka hai har ek zaKHm usi ka
har zaKHm pe angusht ba-dandan bhi wahi hai
'shahpar' wahi bhula hua qissa wahi phir se
achchha hai teri shan ke shayan bhi wahi hai

Ghazal
Phir se wahi haalat hain imkan bhi wahi hai
Shehpar Rasool