phir se tere nuqush nazar pe ayan hue
lo phir visal-e-yar ke lamhe jawan hue
ek baat baDh ke bais-e-naraazgi hui
kuchh lafz munh se nikle to aah-o-fughan hue
tere sabhi darogh wajahat mein chhup gae
aur meri saf baat pe kitne guman hue
kyunkar karenge yaad wo dard-e-firaq mein
hum is qadar qarib bhi un ke kahan hue
mohlat hi kab mili ki sambhal pate hum 'qamar'
hum par to jitne zulm hue na-gahan hue
Ghazal
Phir se tere nuqush nazar pe ayan hue
Qamar Naqvi