phir se lahu lahu dar-o-diwar dekh le
jo bhi dikhae waqt wo na-chaar dekh le
apne gale pe chalti chhuri ka bhi dhyan rakh
wo tez hai ya kund zara dhaar dekh le
phir chhuTne se pahle hi apne wajud ko
maujud bachpanon mein giraftar dekh le
ghusta chala hai peT mein har aadmi ka sar
tujh se bhi ho sakega na inkar dekh le
yun roz roz karte ada-kariyan teri
surat badal gai hai mere yar dekh le
Ghazal
Phir se lahu lahu dar-o-diwar dekh le
Sadiq