اردو हिंदी
Phir sar-e-dar-e-wafa rasm ye Dali jae | Shaahi Shayari
phir sar-e-dar-e-wafa rasm ye Dali jae

Ghazal

Phir sar-e-dar-e-wafa rasm ye Dali jae

Zuhoor-ul-Islam Javed

;

phir sar-e-dar-e-wafa rasm ye Dali jae
gul ho ek shama to ek aur jala li jae

dur karni ho jo tariki-e-rah-e-iKHlas
mashal-ashk-e-nadamat hi jala li jae

aaina main ne sar-e-rahguzar rakha hai
taki ahbab ki kuchh KHam-KHayali jae

haal ye tark-e-talluq pe hua karta hai
jaise machhli koi pani se nikali jae

tu ise apni tamannaon mein shamil kar le
hum se to teri tamanna na sambhaali jae

aap ke uThne pe mahfil ka ye aalam paya
jaise hanste hue chehron se bahaali jae

KHastagi dekhi hai 'jawed' fasil-e-dil ki
is pe buniyaad shab-e-gham ki na Dali jae