اردو हिंदी
Phir saje bazm-e-tarab zulf khule shana chale | Shaahi Shayari
phir saje bazm-e-tarab zulf khule shana chale

Ghazal

Phir saje bazm-e-tarab zulf khule shana chale

Hasan Aabid

;

phir saje bazm-e-tarab zulf khule shana chale
phir wahi silisla-e-shoKHi-e-rindana chale

phir ye yakjai-e-yaran-e-chaman ho ki na ho
der tak aaj zara bazm mein paimana chale

phir koi qais ho aawara-e-sahra-e-junun
phir kisi gesu-e-shab-rang ka afsana chale

hum wo bad-mast-e-junun hain jo sar-e-rah-e-hayat
kabhi ba-hosh kabhi hosh se begana chale

hum ne chaha to na tha un se ulajhna lekin
is ko kya kahiye wo har chaal harifana chale

waqt badla hai to phir kyun na ba-andaz-e-digar
wahi tahrik-e-shikast-e-KHum-o-KHum-KHan chale