اردو हिंदी
Phir rah-e-ishq wahi zad-e-safar mange hai | Shaahi Shayari
phir rah-e-ishq wahi zad-e-safar mange hai

Ghazal

Phir rah-e-ishq wahi zad-e-safar mange hai

Saghar Nizami

;

phir rah-e-ishq wahi zad-e-safar mange hai
waqt phir qalb-e-tapan dida-e-tar mange hai

sajde maqbul nahin bargah-e-naz mein ab
aastan husn ka sajde nahin sar mange hai

kis ne pahuncha diya us hosh-ruba wadi mein
ki jahan wahshat-e-dil zad-e-safar mange hai

meri duniya ke taqazon hi pe mauquf nahin
din bhi ek naya fikr-o-nazar mange hai

ishq ko zawiya-e-did badalna hoga
jalwa-e-husn naya zauq-e-nazar mange hai

sab ki aankhon se bacha kar jo kabhi luTe the
waqt har chor se wo lal-o-gohar mange hai

din o duniya ho ki ho ishq o hawas ai 'saghar'
har koi KHun-e-jigar KHun-e-jigar mange hai