اردو हिंदी
Phir rag-e-shoala-e-jaan-soz mein nashtar guzra | Shaahi Shayari
phir rag-e-shoala-e-jaan-soz mein nashtar guzra

Ghazal

Phir rag-e-shoala-e-jaan-soz mein nashtar guzra

Abdul Hadi Wafa

;

phir rag-e-shoala-e-jaan-soz mein nashtar guzra
nala kyun aabla-e-dil se ulajh kar guzra

main hun dil-dari-e-afsun-e-wafa par nazan
jo raqibon pe na guzra tha wo mujh par guzra

kya muhit-e-mai-e-be-rang mein tufan aaya
josh-e-rang anjuman-e-naz se bahar guzra

tishna-e-hasrat-e-jawed hun main kya jaanun
kyun gale se mere talKHaba-e-kausar guzra

aao mere dil-e-afsurda ki tamkin dekho
jao is kashmakash-e-naz se main dar-guzara

luT gai jaan to ummid ke pahlu DhunDe
miT gai rah to andesha-e-rahbar guzra

is takalluf se gai umr-e-giran-maya 'wafa'
ek dam sainkaDon barson ke barabar guzra