phir mujhe kaun-o-makan dasht-o-bayaban se lage
ru-ba-ru kaun tha jo aaine hairan se lage
kuchh thi kam-hauslagi apni thi kuchh be-sabri
kuchh mujhe ishq ke hangame bhi aasan se lage
waqt kaTta raha tha ahd-e-huzuri ki firaq
zaKHm lagte rahe chahe kisi unwan se lage
zist hum haar ke bhi hath milaen tujh se
apne ye hausle shayad tujhe arzan se lage
zindagi mere izafe mujhe wapas kar de
jhaD de KHar jo nahaq tere daman se lage

Ghazal
Phir mujhe kaun-o-makan dasht-o-bayaban se lage
Ehsan Akbar