اردو हिंदी
Phir mizaj us rind ka kyunkar mile | Shaahi Shayari
phir mizaj us rind ka kyunkar mile

Ghazal

Phir mizaj us rind ka kyunkar mile

Aasi Ghazipuri

;

phir mizaj us rind ka kyunkar mile
jis ko us ke hath se saghar mile

ye bhi milna hai ki baad-az-sad-talash
hadd-e-wahm-o-fahm se bahar mile

kuchh na puchho kaisi nafrat hum se hai
hum hain jab tak wo hamein kyunkar mile

meri aankhen aur us ki KHak-e-pa
tere kuche ka agar rahbar mile

wasl hai sar-josh-e-sahba-e-fana
phir agar koi mile kyunkar mile

milne ke pahle fana hona zarur
phir fana jo ho gaya kyunkar mile

'asi'-e-giryan mila mahbub se
gul se shabnam jis tarah ro kar mile