phir meri aankh teri yaad se bhar aai hai
phir tasawwur mein wahi jalwa-e-zebai hai
dasht-e-ghurbat mein wahi aalam-e-tanhai hai
sar mein sauda hai tera aur tera saudai hai
kya irada hai meri zist ka main kya jaanun
kashti-e-umr meri maut se Takrai hai
ulfat-e-saqi-e-mahwash ke tasawwur mein sharab
aaj saghar mein pari ban ke utar aai hai
aaina dekh ke lillah na hairan hon aap
is mein mastur jo afsana-e-ranai hai
ek hangama-e-mahshar hai bapa gulshan mein
phir se KHatre mein koi ahd-e-shakebai hai
aate hain zabt ki pursish ke liye wo shayad
phir se jumbish mein mera zauq-e-tamashai hai
Ghazal
Phir meri aankh teri yaad se bhar aai hai
Shiv Charan Das Goyal Zabt