phir main un manzilon ka talib hun phir main us rah se guzarta hun
ab main tujh ko sadaen kya dunga ab main KHud ko talash karta hun
har sada sun ke dil dhaDakta hai mujh ko KHamoshiyon se dahshat hai
kya karun samna jahan ka ab jab main parchhaiyon se Darta hun
meri hasti ajib hai ya-rab ab mujhe KHud pe iKHtiyar nahin
aalam-e-be-KHudi mein jita hun main gham-e-ashiqi mein marta hun
ab ke din kuchh siyah lagta hai ab ke tare bujhe bujhe se hain
zaKHm kha kar main muskuraata hun jab sukun paun aah bharta hun

Ghazal
Phir main un manzilon ka talib hun phir main us rah se guzarta hun
Sandeep Koul Nadim