phir lauT ke aaya hun tanhai ke jangal mein
ek shahar-e-tasawwur hai ehsas ke har-pal mein
tu misr ki malika hai main yusuf-e-kanan hun
afsos magar gum hain tafriq ke daldal mein
insan ki duniya mein insan hai pareshan kyun
machhli to nahin hoti bechain kabhi jal mein
har fikr ke chehre par sau zaKHm hain mazi ke
ek lafz nahin zinda aawaz ke maqtal mein
chuTki mein masalte hain tinke bhi pahaDon ko
jab KHun simaTta hai mazlum ke aanchal mein
phir chhoD diya tanha duniya ne 'KHayal' hum ko
phir zehn pareshan hai jazbaat ki halchal mein

Ghazal
Phir lauT ke aaya hun tanhai ke jangal mein
Chandrabhan Khayal