اردو हिंदी
Phir koi taza-sitam wo sitam-ijad kare | Shaahi Shayari
phir koi taza-sitam wo sitam-ijad kare

Ghazal

Phir koi taza-sitam wo sitam-ijad kare

Asra Rizvi

;

phir koi taza-sitam wo sitam-ijad kare
kash is karb-e-taghaful se ab aazad kare

kahin banjar hi na ho jae mere dil ki zamin
lala-e-zaKHm se is kisht ko aabaad kare

jaanta tha ke har aawaz palaT aaegi
phir tawatur se dua kyun dil-e-nashad kare

apne lahje ki hi saKHti ko tasawwur kar ke
lauT aane ki shab-e-hijr mein fariyaad kare

gam-dar-gam badalta hai chalan zalim ka
jaane is bar nai kaun si bedad kare

us se kah de koi KHamosh hai saz-e-hasti
chheD kar wasl ka naghma mera dil shad kare

log anjam ki dahshat se nikal aae hain
ab jo kar pae to is shahr ko barbaad kare