phir koi shakl nazar aane lagi pani par
saKHt mushkil mein hun is tarha ki aasani par
us ko parwa hi nahin hai ki wo kis haal mein hai
main hi mahjub hua KHwab ki uryani par
karta rahta hun main us but ki parastish hama-waqt
phir bhi shak hai use is jazba-e-imani par
ek sada hai kahin raaton mein safar karti hui
ek hawa hai kahin aai hui jaulani par
koi rukta hua dariya mere qadmon mein kahin
koi jhukta hua suraj meri peshani par
wahi manus thapeDe the mere chaaron taraf
mujhe hairat na hui dhup ki tabani par
wapsi par jo lage hain mujhe apne jaise
KHush hua hun dar-o-diwar ki virani par
ek din subh jo uTThen to ye duniya hi na ho
hai madar ab kisi aisi hi KHush-imkani par
sher hote hain 'zafar' lutf-e-suKHan se KHali
dad milti hai mujhe ab to KHush-alhani par
Ghazal
Phir koi shakl nazar aane lagi pani par
Zafar Iqbal