phir koi naya zaKHm naya dard ata ho
us dil ki KHabar le jo tujhe bhul chala ho
ab dil mein sar-e-sham charaghan nahin hota
shoala tere gham ka kahin bujhne na laga ho
kab ishq kiya kis se kiya jhuT hai yaro
bas bhul bhi jao jo kabhi hum se suna ho
darwaza khula hai ki koi lauT na jae
aur us ke liye jo kabhi aaya na gaya ho
shayad ki tere qurb se aa jae mayassar
wo dard ki jo dard-e-judai se siwa ho
ab meri ghazal ka bhi taqaza hai ye tujh se
andaz-o-ada ka koi uslub naya ho
Ghazal
Phir koi naya zaKHm naya dard ata ho
Athar Nafees