phir koi jashn manao ki hansi aa jae
git ek aisa sunao ki hansi aa jae
dam ghuTa jata hai is raat ki tariki mein
koi basti hi jalao ki hansi aa jae
tum to be-laus ho muKHlis ho karam-farma ho
itne nazdik na aao ki hansi aa jae
kaam karna hai to maidan mein aao 'shaukat'
is tarah baiTh na jao ki hansi aa jae
Ghazal
Phir koi jashn manao ki hansi aa jae
Shaukat Pardesi