phir koi apni wafa ka wasta dene laga
dur se aawaz mujh ko hadsa dene laga
tai karo apna safar tanhaiyon ki chhanw mein
bhiD mein koi tumhein kyun rasta dene laga
rahzan hi rah ke patthar uTha kar le gae
ab to manzil ka pata KHud qafila dene laga
ghurbaton ki aanch mein jalne se kuchh hasil na tha
kaise kaise lutf dekho fasla dene laga
shahr-e-na-pursan mein ai 'sarwat' sabhi qazi bane
yani har na-faham apna faisla dene laga

Ghazal
Phir koi apni wafa ka wasta dene laga
Noor Jahan Sarwat