phir jo kaTti nahin us raat se KHauf aata hai
so hamein sham-e-mulaqat se KHauf aata hai
mujh ko hi phunk na Dalen kahin ye lafz mere
ab to apne hi kamalat se KHauf aata hai
kaT hi jata hai safar sahl ho ya mushkil ho
phir bhi har bar shuruat se KHauf aata hai
wahm ki gard mein lipTe hain sawal aur hamein
kabhi nafi kabhi isbaat se KHauf aata hai
aise Thahre hue mahaul mein 'rahman'-hafiz
in guzarte hue lamhat se KHauf aata hai
Ghazal
Phir jo kaTti nahin us raat se KHauf aata hai
Rahman Hafeez