phir jo dekha dur tak ek KHamushi pai gai
main to samjha tha ki ek meri hi goyai gai
phir wahi baadal ki ji uDne ko chahe jin ke sath
phir wahi mausam ki jab zanjir pahnai gai
phir wahi tair wahi un ki ghazal-KHwani ke din
phir wahi rut jis mein meri naghma-pairai gai
kuchh to hai aaKHir jo sara shahr tariki mein hai
ya mera suraj gaya ya meri binai gai
tham gae sab sang sab shor-e-malamat ruk gaya
main hi kya ji se gaya sari saf-arai gai
puchhti hai dastaken de de ke shorida hawa
kis ka KHema tha ki jis mein raushni pai gai
Ghazal
Phir jo dekha dur tak ek KHamushi pai gai
Razi Akhtar Shauq

