phir iztirab-e-shauq mein gham se mafar kahan
wo husn-e-iltifat wo husn-e-nazar kahan
tariki-e-hayat se ghabra gaya hai ji
dekhen shab-e-firaq ki phir ho sahar kahan
tere baghair mahfil-e-dil bhi udas hai
ai husn-e-na-shanas tujhe ye KHabar kahan
ab tak samajh raha tha jise teri rahguzar
tha ek fareb-e-shauq teri rahguzar kahan
arsa hua ki bazm-e-tamanna ujaD chuki
pahli si ab wo raunaq-e-sham-o-sahar kahan
jalwon ki tab la na saki dil ki aankh bhi
phir dekhe kis tarah koi tab-e-nazar kahan
ek chashm-e-lutf ka hai teri muntazir 'kalim'
warna jabin-e-shauq kahan sang-e-dar kahan
Ghazal
Phir iztirab-e-shauq mein gham se mafar kahan
Kaleem Sahasrami