اردو हिंदी
Phir ishrat-e-sahil yaad aai phir shorish-e-tufan bhul gae | Shaahi Shayari
phir ishrat-e-sahil yaad aai phir shorish-e-tufan bhul gae

Ghazal

Phir ishrat-e-sahil yaad aai phir shorish-e-tufan bhul gae

Moin Ahsan Jazbi

;

phir ishrat-e-sahil yaad aai phir shorish-e-tufan bhul gae
nairangi-e-dauran ke mare nairangi-e-dauran bhul gae

har manzil thi dil ki manzil jab dil ko gham-e-manzil na raha
har kucha kucha-e-jaanan tha jab kucha-e-jaanan bhul gae

ne kaif-e-mohabbat ka aalam ne raqs-e-wafa ne mauj-e-karam
kya wajh-e-jawaz-e-baada-kashi ai baada-gusaran bhul gae

ab sehn-e-gulistan mein 'jazbi' khilti hi nahin hai koi kali
aahang-e-nashat-agin shayad murghan-e-KHush-alhan bhul gae