phir is taraf wo pari-ru jhamakta aata hai
ba-rang-mehr ajab kuchh chamakta aata hai
idhar udhar jo nazar hai to is liye yaro
jo Dhab se takte hain un ko takta aata hai
koi jo rah mein kahta hai dil ki be-tabi
to us se kahta hai kya tu ye bakta aata hai
milap karna hai jis se to us ki jaanib wah
qadam uThata hai jald aur humakta aata hai
hamare dil ki jo aatish hai dene phir bhaDka
jabhi 'nazir' wo palken jhapakta aata hai
Ghazal
Phir is taraf wo pari-ru jhamakta aata hai
Nazeer Akbarabadi