phir is se qabl ki bar-e-digar banaya jae
ye aaina hai ise dekh kar banaya jae
main sochta hun tere la-makan ke us jaanib
makan kaisa banega agar banaya jae
zara zara se kai naqs hain abhi mujh mein
nae sire se mujhe gundh kar banaya jae
zamin itni nahin hai ki panw rakh paen
dil-e-KHarab ki zid hai ki ghar banaya jae
bahut se lafz paDe hashiyon mein sochte hain
kisi tarah se ibarat mein dar banaya jae
wo ja raha hai to jate hue ko rokna kya
zara si baat ko kyun dard-e-sar banaya jae
kahin rukenge to tariq-'naim' dekhenge
safar mein kya koi zad-e-safar banaya jae
Ghazal
Phir is se qabl ki bar-e-digar banaya jae
Tariq Naeem