phir is ke baad rasta hamwar ho gaya
jab KHak se KHayal numudar ho gaya
ek dastan-go hua aisa ki apne baad
sari kahaniyon ka wo kirdar ho gaya
saya na de saka jise diwar ka wajud
us ka wajud naqsh-ba-diwar ho gaya
aankhen buland hote hi mahdud ho gain
nazren jhuka ke dekha to didar ho gaya
wo dusre dayar ki baaton se aashna
wo ajnabi qabile ka sardar ho gaya
soe hue karenge 'malal' us ka tajziya
is KHwab-gah mein koi bedar ho gaya

Ghazal
Phir is ke baad rasta hamwar ho gaya
Sagheer Malal