phir is duniya se ummid-e-wafa hai
tujhe ai zindagi kya ho gaya hai
baDi zalim nihayat bewafa hai
ye duniya phir bhi kitni KHushnuma hai
koi dekhe to bazm-e-zindagi mein
ujalon ne andhera kar diya hai
KHuda se log bhi KHaif kabhi the
magar logon se ab KHaif KHuda hai
maze puchho kuchh us se zindagi ke
hawadis mein jise jina paDa hai
mere pahlu mein dil hai to yaqinan
azal hi se magar TuTa hua hai
zaban-o-fan se main waqif nahin hun
magar wijdan mera rahnuma hai
mere naqqad meri shairi to
mere TuTe hue dil ki sada hai
kahan hun 'shad' main to shad sa hun
wo shad-e-KHush-nawa to mar chuka hai
Ghazal
Phir is duniya se ummid-e-wafa hai
Naresh Kumar Shad