phir ek tir sambhaala us ne mujh pe nazar Dali
aaKHiri neki thi tarkash mein wo bhi kar Dali
Thahro yahin ai qafile walo aaya dasht-e-bala
us ne ye kah ke apne sar par KHak-e-safar Dali
aur koi duniya hai teri jis ki khoj karun
zehn mein phir ek samt bikheri rahguzar Dali
hath hawa ke baDhne lage hain basti ke atraf
dekho us ne chingari ab kis ke ghar Dali
chashm-e-falak ka ek aansu hai gardish karti zamin
kya pesh aaya jo us ne bina-e-dida-e-tar Dali
waqt se puchho waqt se sachcha shahid koi nahin
kis ne tegh uThai ran mein kis ne sipar Dali
main to bas gauhar se KHali ek sadaf hun 'ramz'
mushkil hogi us ne koi baat agar Dali
Ghazal
Phir ek tir sambhaala usne mujh pe nazar Dali
Mohammad Ahmad Ramz