phir ek nae safar pe chala hun makan se
koi pukarta hai mujhe aasman se
aawaz de raha hai akela KHuda mujhe
main us ko sun raha hun hawaon ke kan se
kuchh din to be-ghari ka tamasha bhi dekh lun
yun bhi hai ji uchaT purane makan se
donon hi ham-safar the hawaon ke dosh par
par main hun chur chur safar ki takan se
pairon tale dabi hai wahi ret ki chaTan
mujh ko hawa ne phenk diya aasman se
wo zad pe aa gaya tha nihatta bhi tha magar
main ne hi koi tir na chhoDa kaman se
mere labon pe khel rahi hai wahi hansi
har-chand ret ret hua hun chaTan se
Ghazal
Phir ek nae safar pe chala hun makan se
Abdur Rahim Nashtar