اردو हिंदी
Phir hua waqt ki ho baal-kusha mauj-e-sharab | Shaahi Shayari
phir hua waqt ki ho baal-kusha mauj-e-sharab

Ghazal

Phir hua waqt ki ho baal-kusha mauj-e-sharab

Mirza Ghalib

;

phir hua waqt ki ho baal-kusha mauj-e-sharab
de bat-e-mai ko dil-o-dast-e-shana mauj-e-sharab

puchh mat wajh-e-siyah-masti-e-arbab-e-chaman
saya-e-tak mein hoti hai hawa mauj-e-sharab

jo hua gharqa-e-mai baKHt-e-rasa rakhta hai
sar se guzre pe bhi hai baal-e-huma mauj-e-sharab

hai ye barsat wo mausam ki ajab kya hai agar
mauj-e-hasti ko kare faiz-e-hawa mauj-e-sharab

chaar mauj uThti hai tufan-e-tarab se har su
mauj-e-gul mauj-e-shafaq mauj-e-saba mauj-e-sharab

jis qadar ruh-e-nabaati hai jigar tishna-e-naz
de hai taskin ba-dam-e-ab-e-baqa, mauj-e-sharab

bas-ki dauDe hai rag-e-tak mein KHun ho ho kar
shahpar-e-rang se hai baal-kusha mauj-e-sharab

mauja-e-gul se charaghan hai guzar-gah-e-KHayal
hai tasawwur mein z-bas jalwa-numa mauj-e-sharab

nashshe ke parde mein hai mahw-e-tamasha-e-dimagh
bas-ki rakhti hai sar-e-nash-o-numa mauj-e-sharab

ek aalam pe hain tufani-e-kaifiyat-e-fasl
mauja-e-sabza-e-nau-KHez se ta mauj-e-sharab

sharh-e-hangama-e-hasti hai zahe mausam-e-gul
rah-bar-e-qatra-ba-dariya hai KHosha mauj-e-sharab

hosh uDte hain mere jalwa-e-gul dekh 'asad'
phir hua waqt ki ho baal-kusha mauj-e-sharab