اردو हिंदी
Phir harif-e-bahaar ho baiThe | Shaahi Shayari
phir harif-e-bahaar ho baiThe

Ghazal

Phir harif-e-bahaar ho baiThe

Faiz Ahmad Faiz

;

phir harif-e-bahaar ho baiThe
jaane kis kis ko aaj ro baiThe

thi magar itni raegan bhi na thi
aaj kuchh zindagi se kho baiThe

tere dar tak pahunch ke lauT aae
ishq ki aabru Dubo baiThe

sari duniya se dur ho jae
jo zara tere pas ho baiThe

na gai teri be-ruKHi na gai
hum teri aarzu bhi kho baiThe

'faiz' hota rahe jo hona hai
sher likhte raha karo baiThe