phir gai aap ki do din mein tabiat kaisi
ye wafa kaisi thi sahab ye murawwat kaisi
dost ahbab se hans bol ke kaT jaegi raat
rind-e-azad hain hum ko shab-e-furqat kaisi
jis hasin se hui ulfat wahi mashuq apna
ishq kis chiz ko kahte hain tabiat kaisi
hai jo qismat mein wahi hoga na kuchh kam na siwa
aarzu kahte hain kis chiz ko hasrat kaisi
haal khulta nahin kuchh dil ke dhaDakne ka mujhe
aaj rah rah ke bhar aati hai tabiat kaisi
kucha-e-yar mein jata to nazara karta
qais aawara hai jangal mein ye wahshat kaisi
Ghazal
Phir gai aap ki do din mein tabiat kaisi
Akbar Allahabadi