phir faza mein koi zahrila dhuan bhar jaega
phir kisi din apne andar kuchh na kuchh mar jaega
phailta jata hai ye jo har-taraf ek shor sa
ek sannaTa kisi dahliz par dhar jaega
yun raha to sare manzar bad-numa ho jaenge
ek bhayanak rang har taswir mein bhar jaega
kar raha hai apni basti mein jo KHushiyon ki talash
koi tikha dard apne sath le kar jaega
yun achanak bhi hua karta hai koi hadisa
mujh ko kya malum tha wo is tarah mar jaega
chha gai nafrat ki gahri dhund itni dur tak
pyar ka suraj wahan tak kaun le kar jaega
rah-rau ab tak khaDe hain rah mein is aas par
koi aaega idhar aur kuchh na kuchh kar jaega
Ghazal
Phir faza mein koi zahrila dhuan bhar jaega
Balbir Rathi